wo aae nigar main na manun
vo aa.e nigār maiñ na mānūñ
aa jaa.e qarār maiñ na mānūñ
vo hamdam ġhair ho gayā hai
dam-sāz ho yaar maiñ na mānūñ
duzdīda nazar meñ ek nazar hai
vo hoñ na do-chār maiñ na mānūñ
jo vaqt gayā vo phir kahāñ hai
chhūTe vo shikār maiñ na mānūñ
khaTkā na ho āmad-e-ḳhizāñ kā
ai bāġh-o-bahār maiñ na mānūñ
baaz aa.e tū apnī shoḳhiyoñ se
ai fitna-shi.ār maiñ na mānūñ
ārām mile jahāñ meñ us ko
tū jis kā ho yaar maiñ na mānūñ
nāloñ meñ tere asar ho paidā
ai 'sāqī'-e-zār maiñ na mānūñ
wo aae nigar main na manun
aa jae qarar main na manun
wo hamdam ghair ho gaya hai
dam-saz ho yar main na manun
duzdida nazar mein ek nazar hai
wo hon na do-chaar main na manun
jo waqt gaya wo phir kahan hai
chhuTe wo shikar main na manun
khaTka na ho aamad-e-KHizan ka
ai bagh-o-bahaar main na manun
baz aae tu apni shoKHiyon se
ai fitna-shiar main na manun
aaram mile jahan mein us ko
tu jis ka ho yar main na manun
nalon mein tere asar ho paida
ai 'saqi'-e-zar main na manun
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-157 p-154)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.