wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne
vo aa.eñ uub ga.e haiñ jo dahr meñ apne
maiñ ek dasht banātā huuñ shahr meñ apne
kisī kī yaad bhañvar ban ke is tarah lipTī
ki paañv chhoḌ hī aayā maiñ nahr meñ apne
sabhī ko baañT ke shakleñ ḳhudī rahe be-shakl
hamīñ akele musavvir the shahr meñ apne
ginūñ jo phir se inheñ ab to baḌh ga.e hoñge
gine haiñ zaḳhm abhī pichhle pahr meñ apne
ġhazal kā zā.iqa marte samay bhī taaza rahe
shakar milā.ī hai so ham ne zahr meñ apne
'charāġh' ham se adīboñ ne fāsla rakkhā
tamām she'r the hālāñki bahr meñ apne
wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne
main ek dasht banata hun shahr mein apne
kisi ki yaad bhanwar ban ke is tarah lipTi
ki panw chhoD hi aaya main nahr mein apne
sabhi ko banT ke shaklen KHudi rahe be-shakl
hamin akele musawwir the shahr mein apne
ginun jo phir se inhen ab to baDh gae honge
gine hain zaKHm abhi pichhle pahr mein apne
ghazal ka zaiqa marte samay bhi taza rahe
shakar milai hai so hum ne zahr mein apne
'charagh' hum se adibon ne fasla rakkha
tamam she'r the haalanki bahr mein apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.