wo aaj bhi qarib se kuchh kah ke haT gae
vo aaj bhī qarīb se kuchh kah ke haT ga.e
duniyā samajh rahī thī mire din palaT ga.e
jo tishna-lab na the vo the mahfil meñ ġharq-e-jām
ḳhālī the jitne jaam vo pyāsoñ meñ baT ga.e
sandal kā maiñ daraḳht nahīñ thā to kis liye
jitne the ġham ke naag mujhī se lipaT ga.e
jab haath meñ qalam thā to alfāz hī na the
jab lafz mil ga.e to mire haath kaT ga.e
jiine kā hausla kabhī marne kī aarzū
din yuuñ hī dhuup chhāñv meñ apne bhī kaT ga.e
wo aaj bhi qarib se kuchh kah ke haT gae
duniya samajh rahi thi mere din palaT gae
jo tishna-lab na the wo the mahfil mein gharq-e-jam
KHali the jitne jam wo pyason mein baT gae
sandal ka main daraKHt nahin tha to kis liye
jitne the gham ke nag mujhi se lipaT gae
jab hath mein qalam tha to alfaz hi na the
jab lafz mil gae to mere hath kaT gae
jine ka hausla kabhi marne ki aarzu
din yun hi dhup chhanw mein apne bhi kaT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.