wo aalam hai qaza ka samna hai
wo aalam hai qaza ka samna hai
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
MORE BYMakhdoom Zada Mukhtar Usmani
vo 'ālam hai qazā kā sāmnā hai
kise mā'lūm ye vaqt-e-du'ā hai
nazar-afroz hai dilkash fazā hai
ġhazal kā ruup bhī badlā huā hai
ḳhudāyā ḳhair 'ishq-e-mohtaram kī
nadī kā zor hai kachchā ghaḌā hai
zarūrat hai hameñ har lamha jis kī
usī se rābta TuuTā huā hai
du'ā.eñ sabz saaya ban chukī haiñ
daraḳht ab itnā būḌhā ho chukā hai
sahar kī aarzū meñ sone vaalā
musāfir rāt-bhar jaagā rahā hai
nahīñ 'muḳhtār' mujh ko fikr-e-duniyā
du'ā hai aap kī fazl-e-ḳhudā hai
wo 'alam hai qaza ka samna hai
kise ma'lum ye waqt-e-du'a hai
nazar-afroz hai dilkash faza hai
ghazal ka rup bhi badla hua hai
KHudaya KHair 'ishq-e-mohtaram ki
nadi ka zor hai kachcha ghaDa hai
zarurat hai hamein har lamha jis ki
usi se rabta TuTa hua hai
du'aen sabz saya ban chuki hain
daraKHt ab itna buDha ho chuka hai
sahar ki aarzu mein sone wala
musafir raat-bhar jaga raha hai
nahin 'muKHtar' mujh ko fikr-e-duniya
du'a hai aap ki fazl-e-KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.