wo aap ke qarin hai use dekhna nahin
vo aap ke qarīñ hai use dekhnā nahīñ
vo bhī to mah-jabīñ hai use dekhnā nahīñ
jis ghar meñ jāguzīñ hai use dekhnā nahīñ
kis kis kā ham-nashīñ hai use dekhnā nahīñ
jo satah par hai chiiz use dekhnā hī kyā
jo chiiz tah-nashīñ hai use dekhnā nahīñ
shāyad tire jamāl ko samt ik na.ī mile
tujh se bhī jo hasīñ hai use dekhnā nahīñ
dhartī pe reñgte hue dekhe to hoñge saañp
jo mār-e-āstīñ hai use dekhnā nahīñ
uupar se chāq-o-chust vo lagtā zarūr hai
andar se vo hazīñ hai use dekhnā nahīñ
raqsāñ thī lab pe us ke vo muskān dekh lī
chiiñ se jo pur-jabīñ hai use dekhnā nahīñ
jo chal diyā kahīñ to use mil na pā.egā
vo to abhī yahīñ hai use dekhnā nahīñ
maanā pisar kapūt hai laḳht-e-jigar to hai
ye saañs vāpsīñ hai ise dekhnā nahīñ
tere vajūd kī jo kabhī tarjumān thī
haañ ye vo yāsmīñ hai ise dekhnā nahīñ
jo ḳhaak se banā hai use dekhtā hai tū
jo jism-e-ātishīñ hai use dekhnā nahīñ
wo aap ke qarin hai use dekhna nahin
wo bhi to mah-jabin hai use dekhna nahin
jis ghar mein jaguzin hai use dekhna nahin
kis kis ka ham-nashin hai use dekhna nahin
jo satah par hai chiz use dekhna hi kya
jo chiz tah-nashin hai use dekhna nahin
shayad tere jamal ko samt ek nai mile
tujh se bhi jo hasin hai use dekhna nahin
dharti pe rengte hue dekhe to honge sanp
jo mar-e-astin hai use dekhna nahin
upar se chaq-o-chust wo lagta zarur hai
andar se wo hazin hai use dekhna nahin
raqsan thi lab pe us ke wo muskan dekh li
chin se jo pur-jabin hai use dekhna nahin
jo chal diya kahin to use mil na paega
wo to abhi yahin hai use dekhna nahin
mana pisar kaput hai laKHt-e-jigar to hai
ye sans wapsin hai ise dekhna nahin
tere wajud ki jo kabhi tarjuman thi
han ye wo yasmin hai ise dekhna nahin
jo KHak se bana hai use dekhta hai tu
jo jism-e-atishin hai use dekhna nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.