wo aarzu ki dilon ko udas chhoD gai
vo aarzū ki diloñ ko udaas chhoḌ ga.ī
mirī zabāñ pe suḳhan kī miThās chhoḌ ga.ī
likhī ga.ī hai mirī sub.h ke muqaddar meñ
vo raushnī jo kiran kā libās chhoḌ ga.ī
uThī thī mauj jo mahtāb ke kināre se
zamīñ ke gird falak kī asaas chhoḌ ga.ī
ye kis maqām-e-tamannā se be-ḳhudī guzrī
ye kis kā naam pas-e-iltimās chhoḌ ga.ī
charāġh-e-zīst se utrī thī ek harf kī lau
jilau meñ apnī mirā iqtibās chhoḌ ga.ī
guzar ga.ī hai ufuq se sipāh-e-shab lekin
javār-e-sub.h meñ ḳhauf-o-hirās chhoḌ ga.ī
ghaTā uThī thī kisī tishnagī ke sahrā se
jo qatra qatra samundar kī pyaas chhoḌ ga.ī
mirī ḳhamosh-labī mujh meñ raat bhar gūñjī
sadā.eñ kitnī mire ās-pās chhoḌ ga.ī
ye kis ḳhayāl kī parchhā.īñ thī muñDeroñ par
tamām shahr ko mahv-e-qayās chhoḌ ga.ī
basī jo aa ke zamīñ meñ 'samad' shanāḳht mirī
mire badan meñ sajā kar havās chhoḌ ga.ī
wo aarzu ki dilon ko udas chhoD gai
meri zaban pe suKHan ki miThas chhoD gai
likhi gai hai meri subh ke muqaddar mein
wo raushni jo kiran ka libas chhoD gai
uThi thi mauj jo mahtab ke kinare se
zamin ke gird falak ki asas chhoD gai
ye kis maqam-e-tamanna se be-KHudi guzri
ye kis ka nam pas-e-iltimas chhoD gai
charagh-e-zist se utri thi ek harf ki lau
jilau mein apni mera iqtibas chhoD gai
guzar gai hai ufuq se sipah-e-shab lekin
jawar-e-subh mein KHauf-o-hiras chhoD gai
ghaTa uThi thi kisi tishnagi ke sahra se
jo qatra qatra samundar ki pyas chhoD gai
meri KHamosh-labi mujh mein raat bhar gunji
sadaen kitni mere aas-pas chhoD gai
ye kis KHayal ki parchhain thi munDeron par
tamam shahr ko mahw-e-qayas chhoD gai
basi jo aa ke zamin mein 'samad' shanaKHt meri
mere badan mein saja kar hawas chhoD gai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 439)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.