wo aasman hai to ho main zamin hun KHush hun
vo āsmāñ hai to ho maiñ zamīn huuñ ḳhush huuñ
anā ke shahr meñ jab se makīn huuñ ḳhush huuñ
ye jāntī huuñ ke rahte haiñ saañp is meñ magar
abhī bhī pahne vahī āstīn huuñ ḳhush huuñ
ḳhizāñ ke dasht meñ jashn-e-bahār bhī hogā
na jaane kis liye yuuñ pur-yaqīn huuñ ḳhush huuñ
sunā hai chhoḌ ke mujh ko vo kuchh udaas sā hai
maiñ us kī yaad kī ab tak amiin huuñ ḳhush huuñ
zamāna zāhirī sūrat meñ aib DhūñDhtā hai
mujhe gumāñ hai ki dil se hasīn huuñ ḳhush huuñ
vo āftāb hai charchā hai chaar sū us kā
maiñ ik charāġh huuñ gosha-nashīn huuñ ḳhush huuñ
'hinā' pe rañg-e-ibādat faqat ḳhudā kā rahā
vo sajda-rez munavvar-jabīn huuñ ḳhush huuñ
wo aasman hai to ho main zamin hun KHush hun
ana ke shahr mein jab se makin hun KHush hun
ye jaanti hun ke rahte hain sanp is mein magar
abhi bhi pahne wahi aastin hun KHush hun
KHizan ke dasht mein jashn-e-bahaar bhi hoga
na jaane kis liye yun pur-yaqin hun KHush hun
suna hai chhoD ke mujh ko wo kuchh udas sa hai
main us ki yaad ki ab tak amin hun KHush hun
zamana zahiri surat mein aib DhunDhta hai
mujhe guman hai ki dil se hasin hun KHush hun
wo aaftab hai charcha hai chaar su us ka
main ek charagh hun gosha-nashin hun KHush hun
'hina' pe rang-e-ibaadat faqat KHuda ka raha
wo sajda-rez munawwar-jabin hun KHush hun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.