wo aasman ki hadon ka shuur ho jaana
vo āsmāñ kī hadoñ kā shu'ūr ho jaanā
magar ye kyā ki zamīnoñ se duur ho jaanā
us ek ashk kā bahnā nasheb-e-jāñ kī taraf
aur andarūn meñ har samt nuur ho jaanā
vo Dhalnā ek ḳhalish kā junūn meñ pahle
phir us junūn kā baḌh kar surūr ho jaanā
jo tum ko dekh ke talvār pheñk duuñ apnī
to mere qatl meñ shāmil zarūr ho jaanā
ik aisā 'aks ubharnā ki jis kī hiddat se
tamām shīsha-e-dil chuur chuur ho jaanā
ye mānte hī ki hai paar us kā nā-mumkin
vo be-kanār samundar 'ubūr ho jaanā
sharāb dī thī jo mujh ko tumhārī furqat ne
vahī sharāb sharāb-e-tuhūr ho jaanā
wo aasman ki hadon ka shu'ur ho jaana
magar ye kya ki zaminon se dur ho jaana
us ek ashk ka bahna nasheb-e-jaan ki taraf
aur andarun mein har samt nur ho jaana
wo Dhalna ek KHalish ka junun mein pahle
phir us junun ka baDh kar surur ho jaana
jo tum ko dekh ke talwar phenk dun apni
to mere qatl mein shamil zarur ho jaana
ek aisa 'aks ubharna ki jis ki hiddat se
tamam shisha-e-dil chur chur ho jaana
ye mante hi ki hai par us ka na-mumkin
wo be-kanar samundar 'ubur ho jaana
sharab di thi jo mujh ko tumhaari furqat ne
wahi sharab sharab-e-tuhur ho jaana
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 52)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.