wo aaya to itna pyar dega
vo aayā to itnā pyaar degā
din bhar kī thakan utaar degā
miltā hai to haath chūmtā hai
vo shaḳhs to mujh ko maar degā
ma.alūm na thā vo merī ḳhātir
jiitī huī baazī haar degā
dekheñge use charāġh aur maiñ
vo apnā libās utaar degā
dekhegā vo bas nazar uThā ke
ā.īna use sañvār degā
likkhegā vo lau maiñ chehra 'qaisar'
kāġhaz pe kiran utaar degā
wo aaya to itna pyar dega
din bhar ki thakan utar dega
milta hai to hath chumta hai
wo shaKHs to mujh ko mar dega
malum na tha wo meri KHatir
jiti hui bazi haar dega
dekhenge use charagh aur main
wo apna libas utar dega
dekhega wo bas nazar uTha ke
aaina use sanwar dega
likkhega wo lau main chehra 'qaisar'
kaghaz pe kiran utar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.