wo ab dil se tumhaare ja raha hai
vo ab dil se tumhāre jā rahā hai
tumheñ us kā ḳhayāl ab aa rahā hai
maiñ us ke saath ko tarsā karūñgī
jo mere saath bhī tanhā rahā hai
to ab ye dukh bhī duniyā baañT legī
mujhe is baat kā ġham khā rahā hai
use tum se mohabbat ho ga.ī hai
tumhāre sāmne sharmā rahā hai
bahut se log mujh meñ ro rahe haiñ
bas ik vo hai ki hañstā jā rahā hai
jo raste meñ akelā rah gayā thā
vo sab ko rāsta dikhlā rahā hai
ba-sharte ye ki koī bhī na nikle
har ik darvāza kholā jā rahā hai
mulavvis hai gunāhoñ meñ to vo bhī
ḳhudā kā zikr jo kartā rahā hai
bahāroñ se use kyā lenā denā
jo andar se hī ab murjhā rahā hai
tumheñ achchhī nahīñ lagtī ye duniyā
farishtoñ se ye pūchhā jā rahā hai
ġhazal ke sher to sab ho ga.e haiñ
mukammal ek hī misra rahā hai
wo ab dil se tumhaare ja raha hai
tumhein us ka KHayal ab aa raha hai
main us ke sath ko tarsa karungi
jo mere sath bhi tanha raha hai
to ab ye dukh bhi duniya banT legi
mujhe is baat ka gham kha raha hai
use tum se mohabbat ho gai hai
tumhaare samne sharma raha hai
bahut se log mujh mein ro rahe hain
bas ek wo hai ki hansta ja raha hai
jo raste mein akela rah gaya tha
wo sab ko rasta dikhla raha hai
ba-sharte ye ki koi bhi na nikle
har ek darwaza khola ja raha hai
mulawwis hai gunahon mein to wo bhi
KHuda ka zikr jo karta raha hai
bahaaron se use kya lena dena
jo andar se hi ab murjha raha hai
tumhein achchhi nahin lagti ye duniya
farishton se ye puchha ja raha hai
ghazal ke sher to sab ho gae hain
mukammal ek hi misra raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.