wo abhi soch ke uTha hai mujhe
vo abhī soch ke uThā hai mujhe
ye sach hai yā muġhālta hai mujhe
ek TuuTī huī imārat huuñ
āj-kal kaun dekhtā hai mujhe
maiñ yahāñ har shajar se vāqif huuñ
dasht muddat se jāntā hai mujhe
sach to boloñ magar salīqe se
roz ye mashvara milā hai mujhe
mere andar se koī chīḳhtā hai
aur maiñ chup huuñ kyā huā hai mujhe
maut ne ruuh bhar nikālī hai
fikr ne pahle khā liyā hai mujhe
wo abhi soch ke uTha hai mujhe
ye sach hai ya mughaalta hai mujhe
ek TuTi hui imarat hun
aaj-kal kaun dekhta hai mujhe
main yahan har shajar se waqif hun
dasht muddat se jaanta hai mujhe
sach to bolon magar saliqe se
roz ye mashwara mila hai mujhe
mere andar se koi chiKHta hai
aur main chup hun kya hua hai mujhe
maut ne ruh bhar nikali hai
fikr ne pahle kha liya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.