wo agar aae to pur-nur saman hota hai
vo agar aa.e to pur-nūr samāñ hotā hai
us ke aane se hī mausam ye javāñ hotā hai
hāl-e-dil kab ye nigāhoñ se bayāñ hotā hai
rāz-e-ulfat na ye auroñ pe ayaañ hotā hai
nā kabhī shor na hī āh-o-fuġhāñ hotā hai
jo bhī hotā hai faqat zer-e-zabāñ hotā hai
yuuñ guzartā hai mulāqāt kā har ik lamha
jaise lamhāt kā dariyā ye ravāñ hotā hai
raat sajtī hai sitāroñ meñ koī hai bastā
har sitāre kā koī ek makāñ hotā hai
jāgtī āñkhoñ se maiñ ḳhvāb huuñ dekhā kartī
merī nīñdoñ meñ basā ek jahāñ hotā hai
wo agar aae to pur-nur saman hota hai
us ke aane se hi mausam ye jawan hota hai
haal-e-dil kab ye nigahon se bayan hota hai
raaz-e-ulfat na ye auron pe ayan hota hai
na kabhi shor na hi aah-o-fughan hota hai
jo bhi hota hai faqat zer-e-zaban hota hai
yun guzarta hai mulaqat ka har ek lamha
jaise lamhat ka dariya ye rawan hota hai
raat sajti hai sitaron mein koi hai basta
har sitare ka koi ek makan hota hai
jagti aankhon se main KHwab hun dekha karti
meri nindon mein basa ek jahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.