wo agar be-hijab ho jata
vo agar be-hijāb ho jaatā
ḳhalq meñ inqalāb ho jaatā
dil se hotī agar duī mādūm
zarra bhī āftāb ho jaatā
hashr tak hosh meñ na aate 'kalīm'
vo agar be-naqāb ho jaatā
ātish-e-ishq ne jigar phūñkā
dil bhī jal kar kabāb ho jaatā
tum pilāte jo haath se apne
har qadah āftāb ho jaatā
ishq meñ lutf hai taḌapne kā
ye sukūn iztirāb ho jaatā
dil lagānā savāb thā lekin
jī chhuḌānā azaab ho jaatā
na lagāte butoñ se dil aasī
na zamāna ḳharāb ho jaatā
wo agar be-hijab ho jata
KHalq mein inqalab ho jata
dil se hoti agar dui madum
zarra bhi aaftab ho jata
hashr tak hosh mein na aate 'kalim'
wo agar be-naqab ho jata
aatish-e-ishq ne jigar phunka
dil bhi jal kar kabab ho jata
tum pilate jo hath se apne
har qadah aaftab ho jata
ishq mein lutf hai taDapne ka
ye sukun iztirab ho jata
dil lagana sawab tha lekin
ji chhuDana azab ho jata
na lagate buton se dil aasi
na zamana KHarab ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.