wo agar ham-KHayal ho jaen
vo agar ham-ḳhayāl ho jaa.eñ
ḳhatm saare malāl ho jaa.eñ
vo hoñ āmāda-e-javāb agar
ham sarāpā savāl ho jaa.eñ
shahr vāloñ kā hai ḳhudā hāfiz
chor jab kotvāl ho jaa.eñ
hai judā.ī ḳhudā kī ik ne.amat
qurbateñ jab vabāl ho jaa.eñ
haath se aas kā asā na gire
hausle jab niDhāl ho jaa.eñ
ho agar aap kī nigāh-e-karam
be-hunar bā-kamāl ho jaa.eñ
aao nikleñ anā ke ḳhol se ab
rābte phir bahāl ho jaa.eñ
hausla haar duuñ 'jalāl' agar
kaam saare muhāl ho jaa.eñ
wo agar ham-KHayal ho jaen
KHatm sare malal ho jaen
wo hon aamada-e-jawab agar
hum sarapa sawal ho jaen
shahr walon ka hai KHuda hafiz
chor jab kotwal ho jaen
hai judai KHuda ki ek neamat
qurbaten jab wabaal ho jaen
hath se aas ka asa na gire
hausle jab niDhaal ho jaen
ho agar aap ki nigah-e-karam
be-hunar ba-kamal ho jaen
aao niklen ana ke KHol se ab
rabte phir bahaal ho jaen
hausla haar dun 'jalal' agar
kaam sare muhaal ho jaen
- Book : Urdu Adab (Pg. 55)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.