wo agar KHush hai to nashad nahin hun main bhi
vo agar ḳhush hai to nāshād nahīñ huuñ maiñ bhī
kho ke us ko koī barbād nahīñ huuñ maiñ bhī
us kī yādoñ se chamakte haiñ dar-o-bām mire
kaun kahtā hai ki ābād nahīñ huuñ maiñ bhī
kyuuñ karūñ koh-kanī kyuuñ maiñ uThā.ūñ tesha
vo ki shīrīñ nahīñ farhād nahīñ huuñ maiñ bhī
vo bhī pāband huā rasm-o-rah-e-duniyā kā
kuchh ġham-e-dahr se āzād nahīñ huuñ maiñ bhī
us ko kab fikr rahī māzī-e-gum-gashta kī
phir ajab kyā jo use yaad nahīñ huuñ maiñ bhī
wo agar KHush hai to nashad nahin hun main bhi
kho ke us ko koi barbaad nahin hun main bhi
us ki yaadon se chamakte hain dar-o-baam mere
kaun kahta hai ki aabaad nahin hun main bhi
kyun karun koh-kani kyun main uThaun tesha
wo ki shirin nahin farhad nahin hun main bhi
wo bhi paband hua rasm-o-rah-e-duniya ka
kuchh gham-e-dahr se aazad nahin hun main bhi
us ko kab fikr rahi mazi-e-gum-gashta ki
phir ajab kya jo use yaad nahin hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.