wo agar raaz-dan nahin hote
vo agar rāz-dāñ nahīñ hote
raaz dil ke ayaañ nahīñ hote
laao qānūn koī qudrat kā
faisle ab yahāñ nahīñ hote
tū hī hotā agar muqābil to
aa.ine bad-gumāñ nahīñ hote
duur tak un kī chīḳh jaatī hai
hādse be-zabāñ nahīñ hote
ye ġhazal jān-e-jāñ nahīñ hotī
ham jo ahl-e-zabāñ nahīñ hote
tū ne majbūr kar diyā varna
ham jahāñ haiñ vahāñ nahīñ hote
ham ne 'irfān' Dhiil dī un ko
varna vo āsmāñ nahīñ hote
wo agar raaz-dan nahin hote
raaz dil ke ayan nahin hote
lao qanun koi qudrat ka
faisle ab yahan nahin hote
tu hi hota agar muqabil to
aaine bad-guman nahin hote
dur tak un ki chiKH jati hai
hadse be-zaban nahin hote
ye ghazal jaan-e-jaan nahin hoti
hum jo ahl-e-zaban nahin hote
tu ne majbur kar diya warna
hum jahan hain wahan nahin hote
hum ne 'irfan' Dhil di un ko
warna wo aasman nahin hote
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 92)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.