wo agli si ab qadrdani nahin
vo aglī sī ab qadrdānī nahīñ
mohabbat nahīñ mehrbānī nahīñ
bayāñ kyā vo jis meñ ravānī nahīñ
vo talvār kyā jis meñ paanī nahīñ
sunātā huuñ maiñ apnī biitī tumheñ
ye qissa nahīñ ye kahānī nahīñ
mire sar kī ab kyoñ qasam khā.iye
mujhe aap se bad-gumānī nahīñ
hamārā vafāoñ meñ ham-sar kahāñ
tumhārā jafāoñ meñ saanī nahīñ
ta.amul dam-e-qatl kyoñ is qadar
tirī teġh meñ kyā ravānī nahīñ
maiñ faanī sahī lekin ai āsmāñ
vafā to mirī umr-e-fānī nahīñ
vafā maiñ ne chāhī jafā tum ne kī
jo maanī to kuchh baat maanī nahīñ
na marne diyā aur na jiine diyā
koī baat bhī tum ne maanī nahīñ
tire ġhamza-o-ishva-o-nāz kī
zamāne pe kyā hukmarānī nahīñ
payām-e-qazā hai payām-e-qazā
kisī kī javānī javānī nahīñ
mohabbat ye kahtī hai 'mas.ūd' se
koī dāġh-e-dil sī nishānī nahīñ
wo agli si ab qadrdani nahin
mohabbat nahin mehrbani nahin
bayan kya wo jis mein rawani nahin
wo talwar kya jis mein pani nahin
sunata hun main apni biti tumhein
ye qissa nahin ye kahani nahin
mere sar ki ab kyon qasam khaiye
mujhe aap se bad-gumani nahin
hamara wafaon mein ham-sar kahan
tumhaara jafaon mein sani nahin
tamul dam-e-qatl kyon is qadar
teri tegh mein kya rawani nahin
main fani sahi lekin ai aasman
wafa to meri umr-e-fani nahin
wafa main ne chahi jafa tum ne ki
jo mani to kuchh baat mani nahin
na marne diya aur na jine diya
koi baat bhi tum ne mani nahin
tere ghamza-o-ishwa-o-naz ki
zamane pe kya hukmarani nahin
payam-e-qaza hai payam-e-qaza
kisi ki jawani jawani nahin
mohabbat ye kahti hai 'masud' se
koi dagh-e-dil si nishani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.