wo ahd ahd hi kya hai jise nibhao bhi
vo ahd ahd hī kyā hai jise nibhāo bhī
hamāre va.ada-e-ulfat ko bhuul jaao bhī
bhalā kahāñ ke ham aise gumān vaale haiñ
hazār baar ham aa.eñ hameñ bulāo bhī
bigaḌ chalā hai bahut rasm-e-ḳhud-kushī kā chalan
Darāne vaalo kisī roz kar dikhāo bhī
nahīñ ki arz-e-tamannā pe maan hī jaao
hameñ is ahd-e-tamannā meñ āzmāo bhī
fuġhāñ ki qissa-e-dil sun ke log kahte haiñ
ye kaun sī na.ī uftād hai haTāo bhī
tumhārī niiñd meñ Duubī huī nazar kī qasam
hameñ ye zid hai ki jaago bhī aur jagāo bhī
wo ahd ahd hi kya hai jise nibhao bhi
hamare wada-e-ulfat ko bhul jao bhi
bhala kahan ke hum aise guman wale hain
hazar bar hum aaen hamein bulao bhi
bigaD chala hai bahut rasm-e-KHud-kushi ka chalan
Darane walo kisi roz kar dikhao bhi
nahin ki arz-e-tamanna pe man hi jao
hamein is ahd-e-tamanna mein aazmao bhi
fughan ki qissa-e-dil sun ke log kahte hain
ye kaun si nai uftad hai haTao bhi
tumhaari nind mein Dubi hui nazar ki qasam
hamein ye zid hai ki jago bhi aur jagao bhi
- Book : girebaa.n (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.