Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam

Abdul Hamid Adam

wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    vo ahd-e-javānī vo ḳharābāt aalam

    naġhmāt meñ Duubī huī barsāt aalam

    allāh-re us zulf ke jāñ-baḳhsh añdhere

    jaise ki mahakte hue zulmāt aalam

    ai ra.asha-e-mastī sabab pūchhne vaale

    dekhā hai kabhī pahlī mulāqāt aalam

    nikle the mire saath vo jab bazm-e-azal se

    kuchh sub.h ke āsār the kuchh raat aalam

    yuuñ us javānī kuchh andāza thā jaise

    mai-ḳhāne pe umDī huī barsāt aalam

    āñkhoñ ke tasādum meñ hikāyāt duniyā

    hoñToñ ke tasādum meñ ḳharābāt aalam

    āvāz meñ kaliyoñ ke chaTakne latāfat

    raftār meñ bahte hue naġhmāt aalam

    hañstī huī āñkhoñ se savālāt bārish

    jalte hue hoñToñ meñ javābāt aalam

    kuchh mujh ko ḳhabar thī na unheñ hosh thā apnā

    allāh-re mad-hoshī o jazbāt aalam

    āñkhoñ meñ shafaq jism meñ mai zulf meñ ThanDak

    aalam bhī vo aalam ki ḳharābāt aalam

    anfās se aatī huī ik narm ḳhushbū

    simTā huā hoñToñ meñ mudārāt aalam

    vo chiiz jise zindagī kahte haiñ vo kyā hai

    hañste hue shaffāf ḳhayālāt aalam

    baiThā huuñ 'adam' le ke baḌī der se dil meñ

    kahte haiñ jise harf-o-hikāyāt aalam

    wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam

    naghmat mein Dubi hui barsat ka aalam

    allah-re us zulf ke jaan-baKHsh andhere

    jaise ki mahakte hue zulmat ka aalam

    ai rasha-e-masti ka sabab puchhne wale

    dekha hai kabhi pahli mulaqat ka aalam

    nikle the mere sath wo jab bazm-e-azal se

    kuchh subh ke aasar the kuchh raat ka aalam

    yun us ki jawani ka kuchh andaza tha jaise

    mai-KHane pe umDi hui barsat ka aalam

    aankhon ke tasadum mein hikayat ki duniya

    honTon ke tasadum mein KHarabaat ka aalam

    aawaz mein kaliyon ke chaTakne ki latafat

    raftar mein bahte hue naghmat ka aalam

    hansti hui aankhon se sawalat ki barish

    jalte hue honTon mein jawabaat ka aalam

    kuchh mujh ko KHabar thi na unhen hosh tha apna

    allah-re mad-hoshi o jazbaat ka aalam

    aankhon mein shafaq jism mein mai zulf mein ThanDak

    aalam bhi wo aalam ki KHarabaat ka aalam

    anfas se aati hui ek narm si KHushbu

    simTa hua honTon mein mudaraat ka aalam

    wo chiz jise zindagi kahte hain wo kya hai

    hanste hue shaffaf KHayalat ka aalam

    baiTha hun 'adam' le ke baDi der se dil mein

    kahte hain jise harf-o-hikayat ka aalam

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 380)
    • Author : Khwaja Mohammad Zakariya
    • Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now