wo ahd-e-tifl se zarrin shabab mange hai
vo ahd-e-tifl se zarrīñ shabāb māñge hai
thamā ke haath meñ ḳhanjar gulāb māñge hai
maqām-e-zīst kā aisā maqām hai ye bhī
har ek sub.h nayā inqalāb māñge hai
mizāj-e-vaqt na.ī sub.h ke jharoñkoñ se
ḳhayāl-o-fikr kā ik āftāb māñge hai
rafāqatoñ ke vasīloñ kā vāsta de kar
churā ke niiñd mirī mujh se ḳhvāb māñge hai
us ajnabī ko na jaane lagāv hai kaisā
har ek lamhe kā mujh se hisāb māñge hai
taqāze us ke ajab the kahūñ maiñ kyā 'mushtāq'
zamīñ pe jaise koī māhtāb māñge hai
wo ahd-e-tifl se zarrin shabab mange hai
thama ke hath mein KHanjar gulab mange hai
maqam-e-zist ka aisa maqam hai ye bhi
har ek subh naya inqalab mange hai
mizaj-e-waqt nai subh ke jharonkon se
KHayal-o-fikr ka ek aaftab mange hai
rafaqaton ke wasilon ka wasta de kar
chura ke nind meri mujh se KHwab mange hai
us ajnabi ko na jaane lagaw hai kaisa
har ek lamhe ka mujh se hisab mange hai
taqaze us ke ajab the kahun main kya 'mushtaq'
zamin pe jaise koi mahtab mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.