wo aks-e-KHwab hai paikar nahin hai
vo aks-e-ḳhvāb hai paikar nahīñ hai
shu.ūr-e-zāt se bāhar nahīñ hai
agarche āsmāñ sar par nahīñ hai
zamīñ bhī to mirā bistar nahīñ hai
fazā masmūm hotī jā rahī hai
mirī ḳhātir mirā hī ghar nahīñ hai
ufuq ke rañg haiñ chehre pe us ke
shikast-e-ḳhvāb kā manzar nahīñ hai
faqat maiñ huuñ tire madd-e-muqābil
mire pīchhe mirā lashkar nahīñ hai
wo aks-e-KHwab hai paikar nahin hai
shuur-e-zat se bahar nahin hai
agarche aasman sar par nahin hai
zamin bhi to mera bistar nahin hai
faza masmum hoti ja rahi hai
meri KHatir mera hi ghar nahin hai
ufuq ke rang hain chehre pe us ke
shikast-e-KHwab ka manzar nahin hai
faqat main hun tere madd-e-muqabil
mere pichhe mera lashkar nahin hai
- Book : Shareek-e-Harf (Pg. 71)
- Author : Khalid Jamal
- Publication : Dabistan-e-adab (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.