wo alag chup hai KHud se sharma kar
vo alag chup hai ḳhud se sharmā kar
kyā kiyā maiñ ne haath phailā kar
phal har ik Daal par nahīñ hote
sañg har Daal par na pheñkā kar
taaza rakhne kī koī sūrat soch
sūkhe lab par zabāñ na pherā kar
dasht-e-sūraj meñ kyā milā ham ko
rah gayā rañg apnā sañvlā kar
miT na jaa.e kahīñ vajūd tirā
ḳhud ko fursat meñ chhū ke dekhā kar
aa.inā ho chalā hai sūraj ab
hai yahī vaqt sab ko andhā kar
ek hoñ do kināre dariyā ke
koī aisī sabīl paidā kar
kaise darvāze par qadam rakhkhūñ
koī leTā hai paañv phailā kar
sūrateñ zehn se na miT jaa.eñ
bhūle-bhaTke idhar bhī niklā kar
sarsarī taur par jo baat huī
us ne pūchhā usī ko dohrā kar
Thahre paanī meñ pheñk kar patthar
apne saa.e ko tū na rusvā kar
wo alag chup hai KHud se sharma kar
kya kiya main ne hath phaila kar
phal har ek Dal par nahin hote
sang har Dal par na phenka kar
taza rakhne ki koi surat soch
sukhe lab par zaban na phera kar
dasht-e-suraj mein kya mila hum ko
rah gaya rang apna sanwla kar
miT na jae kahin wajud tera
KHud ko fursat mein chhu ke dekha kar
aaina ho chala hai suraj ab
hai yahi waqt sab ko andha kar
ek hon do kinare dariya ke
koi aisi sabil paida kar
kaise darwaze par qadam rakhkhun
koi leTa hai panw phaila kar
suraten zehn se na miT jaen
bhule-bhaTke idhar bhi nikla kar
sarsari taur par jo baat hui
us ne puchha usi ko dohra kar
Thahre pani mein phenk kar patthar
apne sae ko tu na ruswa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.