wo andalib hun ki sada mujhko gham raha
wo andalib hun ki sada mujhko gham raha
Captain Damingo Paul Lizwa
MORE BYCaptain Damingo Paul Lizwa
vo andalīb huuñ ki sadā mujh ko ġham rahā
bāġh-e-jahāñ meñ naḳhl-e-tamannā qalam rahā
vahshī vo huuñ ki hadd-e-adam se na baḌh gayā
sahrā meñ qais kā maiñ qadm-dar-qadam rahā
manzūr un ko saaf haiñ va.ada-ḳhilāfiyāñ
ai intizār kyoñ mirī āñkhoñ meñ dam rahā
aksar mirī ġhazal meñ jo nukte haiñ ramz haiñ
aajiz jabhī sanā meñ har ahl-e-qalam rahā
aadat sujūd kī jo thī ahd-e-shabāb meñ
piirī meñ bhī sadā qad-e-āshiq meñ ḳham rahā
zarra na.ī ġhazal kahī 'yaktā' ke faiz se
go dard-e-mashq-e-sher-o-suḳhan tujh ko kam rahā
wo andalib hun ki sada mujh ko gham raha
bagh-e-jahan mein naKHl-e-tamanna qalam raha
wahshi wo hun ki hadd-e-adam se na baDh gaya
sahra mein qais ka main qadm-dar-qadam raha
manzur un ko saf hain wada-KHilafiyan
ai intizar kyon meri aankhon mein dam raha
aksar meri ghazal mein jo nukte hain ramz hain
aajiz jabhi sana mein har ahl-e-qalam raha
aadat sujud ki jo thi ahd-e-shabab mein
piri mein bhi sada qad-e-ashiq mein KHam raha
zarra nai ghazal kahi 'yakta' ke faiz se
go dard-e-mashq-e-sher-o-suKHan tujh ko kam raha
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 79)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.