wo anjuman mein raat ajab shan se gae
vo anjuman meñ raat ajab shaan se ga.e
īmān chiiz kyā thī ka.ī jaan se ga.e
maiñ to gayā huā thā hazāroñ naqāb meñ
lekin akelā dekh ke pahchān se ga.e
vo sham.a ban ke ḳhud hī akele jalā kiyā
parvāne kal kī raat pareshān se ga.e
aayā tirā salām na aayā hai ḳhat koī
ham āḳhirī safar ke bhī sāmān se ga.e
'rāhī' jise ḳhudā bhī na samjhā sakā kabhī
baiThe-biThā.e dekh lo ab maan se ga.e
wo anjuman mein raat ajab shan se gae
iman chiz kya thi kai jaan se gae
main to gaya hua tha hazaron naqab mein
lekin akela dekh ke pahchan se gae
wo shama ban ke KHud hi akele jala kiya
parwane kal ki raat pareshan se gae
aaya tera salam na aaya hai KHat koi
hum aaKHiri safar ke bhi saman se gae
'rahi' jise KHuda bhi na samjha saka kabhi
baiThe-biThae dekh lo ab man se gae
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 61)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.