wo apne band-e-qaba kholti to kya lagti
vo apne band-e-qabā kholtī to kyā lagtī
ḳhudā ke vāste koī kahe ḳhudā-lagtī
yaqīn thī to yaqīñ meñ samā ga.ī kaise
gumān thī to gumāñ se bhī māvarā lagtī
agar bikhartī to sūraj kabhī nahīñ ugtā
tire ḳhayāl ki vo zulf bas ghaTā lagtī
tire marīz ko duniyā meñ kuchh nahīñ lagtā
davā lage na raqīboñ kī bad-duā lagtī
huī hai qaid zamāne meñ raushnī kis se
bhalā vo jism aur us ko koī qabā lagtī
lagī vo tujh sī to aalam meñ munfarid Thahrī
vagarna aam sī lagtī agar judā lagtī
wo apne band-e-qaba kholti to kya lagti
KHuda ke waste koi kahe KHuda-lagti
yaqin thi to yaqin mein sama gai kaise
guman thi to guman se bhi mawara lagti
agar bikharti to suraj kabhi nahin ugta
tere KHayal ki wo zulf bas ghaTa lagti
tere mariz ko duniya mein kuchh nahin lagta
dawa lage na raqibon ki bad-dua lagti
hui hai qaid zamane mein raushni kis se
bhala wo jism aur us ko koi qaba lagti
lagi wo tujh si to aalam mein munfarid Thahri
wagarna aam si lagti agar juda lagti
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 45)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.