wo apne bandon ko pahle to aazmata hai
vo apne bandoñ ko pahle to āzmātā hai
phir un ke husn-e-taġhāful pe muskurātā hai
vahī nikāl ke laatā hai maut ke muñh se
ridā-e-ḳhāk vahī phir hameñ uḌhātā hai
samajh meñ aa nahīñ saktā ye falsafa sab kī
añdherī raat meñ kyā hai jo jagmagātā hai
tavāf us kā hī kartī haiñ mushkileñ har dam
lahū ke aañsū jo māñ-bāp ko rulātā hai
ḳhudā bachātā hai har āfat-o-balā se use
kisī pe kar ke jo ehsān bhuul jaatā hai
hamī se dafn karātā hai daanā daanā vo
usī ko phir se hamāre liye ugātā hai
vo ik lakīr jo donoñ ke darmiyāñ meñ hai
guzartā vaqt use har ghaḌī miTātā hai
hazār koshisheñ kar lo natīja kuchh bhī nahīñ
vahī sañbhaltā hai 'ātif' jo choT khātā hai
wo apne bandon ko pahle to aazmata hai
phir un ke husn-e-taghaful pe muskuraata hai
wahi nikal ke lata hai maut ke munh se
rida-e-KHak wahi phir hamein uDhata hai
samajh mein aa nahin sakta ye falsafa sab ki
andheri raat mein kya hai jo jagmagata hai
tawaf us ka hi karti hain mushkilen har dam
lahu ke aansu jo man-bap ko rulata hai
KHuda bachata hai har aafat-o-bala se use
kisi pe kar ke jo ehsan bhul jata hai
hami se dafn karaata hai dana dana wo
usi ko phir se hamare liye ugata hai
wo ek lakir jo donon ke darmiyan mein hai
guzarta waqt use har ghaDi miTata hai
hazar koshishen kar lo natija kuchh bhi nahin
wahi sanbhalta hai 'atif' jo choT khata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.