wo apne dil ko maine KHat likha tha na
vo apne dil ko maiñ ne ḳhat likhā thā nā
tū hī kahtā thā vo terā pata thā nā
huī thī kal chhuvan mahsūs gāloñ par
mirī tasvīr ko tum ne chhuā thā nā
vahīñ pahlī nazar kā pyaar ho baiThā
ghaḌī meñ jab mirā āñchal phañsā thā nā
agar ġhusse meñ jaatā lauT aatā vo
nahīñ lauTegā muskā kar gayā thā nā
bahut āsān thā un ko jalā denā
gharoñ meñ jin meñ pahle se dhuāñ thā nā
wo apne dil ko main ne KHat likha tha na
tu hi kahta tha wo tera pata tha na
hui thi kal chhuwan mahsus galon par
meri taswir ko tum ne chhua tha na
wahin pahli nazar ka pyar ho baiTha
ghaDi mein jab mera aanchal phansa tha na
agar ghusse mein jata lauT aata wo
nahin lauTega muska kar gaya tha na
bahut aasan tha un ko jala dena
gharon mein jin mein pahle se dhuan tha na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.