wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai
vo apne ghar ke darīchoñ se jhāñktā kam hai
ta.alluqāt to ab bhī haiñ rābta kam hai
tum is ḳhamosh tabī.at pe tanz mat karnā
vo sochtā hai bahut aur boltā kam hai
bilā sabab hī miyāñ tum udaas rahte ho
tumhāre ghar se to masjid kā fāslā kam hai
fuzūl tez havāoñ ko dosh detā hai
use charāġh jalāne kā hausla kam hai
maiñ apne bachchoñ kī ḳhātir hī jaan de detā
magar ġharīb kī jaañ kā muāvza kam hai
wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai
talluqat to ab bhi hain rabta kam hai
tum is KHamosh tabiat pe tanz mat karna
wo sochta hai bahut aur bolta kam hai
bila sabab hi miyan tum udas rahte ho
tumhaare ghar se to masjid ka fasla kam hai
fuzul tez hawaon ko dosh deta hai
use charagh jalane ka hausla kam hai
main apne bachchon ki KHatir hi jaan de deta
magar gharib ki jaan ka muawza kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.