wo apni aan mein gum hai main apni aan mein gum
wo apni aan mein gum hai main apni aan mein gum
Rizwanur Raza Rizwan
MORE BYRizwanur Raza Rizwan
vo apnī aan meñ gum hai maiñ apnī aan meñ gum
ye aur baat ki donoñ haiñ jhūTī shaan meñ gum
maiñ huuñ yaqīn meñ gum aur vo gumān meñ gum
tamām rasm-e-mohabbat hai darmiyān meñ gum
mire fasāna-e-dil meñ chhupā hai naam tirā
mirā bhī naam hai kuchh terī dāstān meñ gum
bahut ajiib hai ye bhī bulandī-o-pastī
koī zamīn meñ gum koī āsmān meñ gum
har ek shai kī maiñ qīmat lagā.e phirtā huuñ
ye kārobār hai kyā hoñ ye kis dukān meñ gum
vasī.a kitnā hai 'rizvān' dil kā aalam bhī
tamām ahl-e-jahāñ haiñ isī jahān meñ gum
wo apni aan mein gum hai main apni aan mein gum
ye aur baat ki donon hain jhuTi shan mein gum
main hun yaqin mein gum aur wo guman mein gum
tamam rasm-e-mohabbat hai darmiyan mein gum
mere fasana-e-dil mein chhupa hai nam tera
mera bhi nam hai kuchh teri dastan mein gum
bahut ajib hai ye bhi bulandi-o-pasti
koi zamin mein gum koi aasman mein gum
har ek shai ki main qimat lagae phirta hun
ye karobar hai kya hon ye kis dukan mein gum
wasia kitna hai 'rizwan' dil ka aalam bhi
tamam ahl-e-jahan hain isi jahan mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.