wo apni jaan par aisa ghazab karega kyon
vo apnī jaan par aisā ġhazab karegā kyoñ
mire liye bhalā tark-e-nasab karegā kyoñ
maiñ mutma.in huuñ nahīñ kuchh bhī ab gañvāne ko
so merā qatl koī be-sabab karegā kyoñ
utaar aayā huuñ maiñ jhuuT ke libāde sab
mirī talāsh tirā shahr ab karegā kyoñ
jise charāġh mile hoñ jale-jalā.e hue
vo raushnī kā zarā bhī adab karegā kyoñ
jo mere saath kabhī jaag bhī nahīñ paayā
vo mujh se ḳhvāboñ kī daulat talab karegā kyoñ
wo apni jaan par aisa ghazab karega kyon
mere liye bhala tark-e-nasab karega kyon
main mutmain hun nahin kuchh bhi ab ganwane ko
so mera qatl koi be-sabab karega kyon
utar aaya hun main jhuT ke libaade sab
meri talash tera shahr ab karega kyon
jise charagh mile hon jale-jalae hue
wo raushni ka zara bhi adab karega kyon
jo mere sath kabhi jag bhi nahin paya
wo mujh se KHwabon ki daulat talab karega kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.