wo apni jhil si aankhen jo le kar ashk-bar aae
vo apnī jhiil sī āñkheñ jo le kar ashk-bār aa.e
bhalā aise meñ kis zālim ko dil par iḳhtiyār aa.e
sañvartī hī nahīñ qismat unhīñ hāthoñ se ab apnī
ki jin hāthoñ se vo qismat hazāroñ kī sañvār aa.e
nahīñ jab vāsta koī rahā apnā gulistāñ se
hameñ kyā farq hai yaaro ḳhizāñ aa.e bahār aa.e
ḳhudā jaane abhī baaqī haiñ kitne tiir tarkash meñ
ga.e jab bhī ham us ke dar pe vāpas dil-figār aa.e
jinheñ da.avā thā dil kī saḳht-jānī kā hamīñ par vo
zarā sī Thes kyā pahuñchī ki rote zār-zār aa.e
jahāñ darmāñ hai vahshat kā usī manzil se ham 'tashna'
garebāñ chāk-chāk aa.e to dāman tār-tār aa.e
wo apni jhil si aankhen jo le kar ashk-bar aae
bhala aise mein kis zalim ko dil par iKHtiyar aae
sanwarti hi nahin qismat unhin hathon se ab apni
ki jin hathon se wo qismat hazaron ki sanwar aae
nahin jab wasta koi raha apna gulistan se
hamein kya farq hai yaro KHizan aae bahaar aae
KHuda jaane abhi baqi hain kitne tir tarkash mein
gae jab bhi hum us ke dar pe wapas dil-figar aae
jinhen dawa tha dil ki saKHt-jaani ka hamin par wo
zara si Thes kya pahunchi ki rote zar-zar aae
jahan darman hai wahshat ka usi manzil se hum 'tashna'
gareban chaak-chaak aae to daman tar-tar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.