wo apni zat mein gum tha niDhaal aisa tha
vo apnī zaat meñ gum thā niDhāl aisā thā
mizāj pūchhne vaale kā haal aisā thā
koī charāġh sā chehra idhar nahīñ aayā
maiñ nā-murād thā yaaro ki saal aisā thā
dabā diyā thā kisī haath ko añdhere meñ
vo jaan jā.egā merā ḳhayāl aisā thā
maiñ gard-e-rāh-e-safar thā kahāñ thā naqsh mirā
alag alag thā maiñ sab se kamāl aisā thā
vo zahr qurb mujhe de ke phūñk Dālegā
use ġhurūr thā us kā jalāl aisā thā
duā salām na hogī nagar bhī chhoḌūñgā
vo Tāltā bhī to kaise savāl aisā thā
wo apni zat mein gum tha niDhaal aisa tha
mizaj puchhne wale ka haal aisa tha
koi charagh sa chehra idhar nahin aaya
main na-murad tha yaro ki sal aisa tha
daba diya tha kisi hath ko andhere mein
wo jaan jaega mera KHayal aisa tha
main gard-e-rah-e-safar tha kahan tha naqsh mera
alag alag tha main sab se kamal aisa tha
wo zahr qurb mujhe de ke phunk Dalega
use ghurur tha us ka jalal aisa tha
dua salam na hogi nagar bhi chhoDunga
wo Talta bhi to kaise sawal aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.