wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain
vo arzāñ to kareñ javoñ ko dīvāne bhī aate haiñ
jahāñ sham.eñ jalā kartī haiñ parvāne bhī aate haiñ
kuchh is andāz se aa.e tirī mahfil meñ dīvāne
koī ye kah to de mahfil meñ dīvāne bhī aate haiñ
ye fitrat husn kī hai vo taqāzā hai mohabbat kā
vo dil ko toḌne ke ba.ad samjhāne bhī aate haiñ
sabhī sehn-e-chaman meñ phuul chunñe ko nahīñ aate
kuchh apne dāmanoñ meñ ḳhaar uljhāne bhī aate haiñ
mohabbat ke gulistānoñ meñ phalne-phūlne vaalo
isī raste meñ aage chal ke vīrāne bhī aate haiñ
nahīñ ma.alūm tark-e-dostī ke ba.ad kyuuñ mahshar
vo tark-e-dostī par bahs farmāne bhī aate haiñ
wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain
jahan shamen jala karti hain parwane bhi aate hain
kuchh is andaz se aae teri mahfil mein diwane
koi ye kah to de mahfil mein diwane bhi aate hain
ye fitrat husn ki hai wo taqaza hai mohabbat ka
wo dil ko toDne ke baad samjhane bhi aate hain
sabhi sehn-e-chaman mein phul chunne ko nahin aate
kuchh apne damanon mein KHar uljhane bhi aate hain
mohabbat ke gulistanon mein phalne-phulne walo
isi raste mein aage chal ke virane bhi aate hain
nahin malum tark-e-dosti ke baad kyun mahshar
wo tark-e-dosti par bahs farmane bhi aate hain
- Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 151)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.