wo asar nazar mein de ai KHuda wo mohabbaton mein rasai de
vo asar nazar meñ de ai ḳhudā vo mohabbatoñ meñ rasā.ī de
jo huā nahīñ vo dikhā.ī de jo kahā nahīñ vo sunā.ī de
ye haiñ mausamoñ kī sharārateñ yā marāsimoñ kī harārateñ
ki har ek manzar-e-nūr meñ tirī shakl mujh ko dikhā.ī de
jise tere dar se ho vāsta vo take na phir koī āstāñ
na kisī se phir vo kahe sitam na kahīñ pe jā ke duhā.ī de
tirī yaad hai mirī ham-safar maiñ bhī mubtalā huuñ kuchh is qadar
ki har ek sang-e-rah-e-guzar mirī be-ḳhudī ko badhā.ī de
tire 'ishq kā maiñ asiir huuñ tirī chāhatoñ se amiir huuñ
mujhe yā to apnā banā le ab yā phir is jahāñ se rihā.ī de
tire gungunāne se peshtar na mirī ġhazal kī thī kuchh qadar
mirā fan tujhe hai qubūl to ḳhudā mujh ko naġhma-sarā.ī de
wo asar nazar mein de ai KHuda wo mohabbaton mein rasai de
jo hua nahin wo dikhai de jo kaha nahin wo sunai de
ye hain mausamon ki shararaten ya marasimon ki hararaten
ki har ek manzar-e-nur mein teri shakl mujh ko dikhai de
jise tere dar se ho wasta wo take na phir koi aastan
na kisi se phir wo kahe sitam na kahin pe ja ke duhai de
teri yaad hai meri ham-safar main bhi mubtala hun kuchh is qadar
ki har ek sang-e-rah-e-guzar meri be-KHudi ko badhai de
tere 'ishq ka main asir hun teri chahaton se amir hun
mujhe ya to apna bana le ab ya phir is jahan se rihai de
tere gungunane se peshtar na meri ghazal ki thi kuchh qadar
mera fan tujhe hai qubul to KHuda mujh ko naghma-sarai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.