wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain
vo aur hoñge nufūs be-dil jo kahkashā.eñ shumārte haiñ
ye raat hai puure chāñd kī ham tirī mohabbat hisārte haiñ
baḌī mahārat se us kī sāñsoñ meñ naġhmagī kar rahe haiñ paidā
vo jitnā anjān ban rahā hai ham utnā us ko nihārte haiñ
tumhārī nazroñ kā hai muqaddar ye jhiil kā pur-sukūn paanī
ham apnī āñkhoñ ke canvas par hazār maujeñ ubhārte haiñ
sabhī musāfir chaleñ agar ek ruḳh to kyā hai mazā safar kā
tum apne imkāñ talāsh kar lo mujhe parinde pukārte haiñ
tumhīñ se 'sābir' huī hai kotāhī tīrgī kī muhāfizat meñ
sunā nahīñ thā kabhī ye pahle ki jugnū shab-ḳhūn mārte haiñ
wo aur honge nufus be-dil jo kahkashaen shumarte hain
ye raat hai pure chand ki hum teri mohabbat hisarte hain
baDi mahaarat se us ki sanson mein naghmagi kar rahe hain paida
wo jitna anjaan ban raha hai hum utna us ko nihaarte hain
tumhaari nazron ka hai muqaddar ye jhil ka pur-sukun pani
hum apni aankhon ke canwas par hazar maujen ubhaarte hain
sabhi musafir chalen agar ek ruKH to kya hai maza safar ka
tum apne imkan talash kar lo mujhe parinde pukarte hain
tumhin se 'sabir' hui hai kotahi tirgi ki muhafizat mein
suna nahin tha kabhi ye pahle ki jugnu shab-KHun marte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.