wo aur kuchh nahin ek tarz guftugu ki thi
vo aur kuchh nahīñ ik tarz guftugū kī thī
kahā ye kis ne kabhī terī aarzū kī thī
kabhī bhī apnī tabī.at na jañg-jū kī thī
vahāñ anā kī nahīñ baat aabrū kī thī
jo zaḳhm thā to zarā ḳhuun hī Tapaktā thā
jalan tamām tire sozan-e-rafū kī thī
tirā jamāl thā yā thā tilism-e-hosh-rubā
lalak ajiib se mujh meñ bhī justujū kī thī
samundaroñ kā vo ġhussa thā yā zamīñ kā itaab
tamām shorish-e-tūfāñ mire lahū kī thī
gumāñ gumāñ hai gumāñ hī rahe to achchhā hai
sadā-e-qulqul-e-mīnā talab subū kī thī
dahān-e-zaḳhm kahāñ thā 'shamīm' kyā ma.alūm
lahū uchhāl kī shiddat rag-e-gulū kī thī
wo aur kuchh nahin ek tarz guftugu ki thi
kaha ye kis ne kabhi teri aarzu ki thi
kabhi bhi apni tabiat na jang-ju ki thi
wahan ana ki nahin baat aabru ki thi
jo zaKHm tha to zara KHun hi Tapakta tha
jalan tamam tere sozan-e-rafu ki thi
tera jamal tha ya tha tilism-e-hosh-ruba
lalak ajib se mujh mein bhi justuju ki thi
samundaron ka wo ghussa tha ya zamin ka itab
tamam shorish-e-tufan mere lahu ki thi
guman guman hai guman hi rahe to achchha hai
sada-e-qulqul-e-mina talab subu ki thi
dahan-e-zaKHm kahan tha 'shamim' kya malum
lahu uchhaal ki shiddat rag-e-gulu ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.