wo aur log the jo raste badalte rahe
vo aur log the jo rāste badalte rahe
safar hai shart so ham niiñd meñ bhī chalte rahe
pighal rahā thā yugoñ se vajūd kā laavā
ḳhayāl-o-ḳhvāb mire pattharoñ meñ Dhalte rahe
unheñ qubūl mirī rahbarī na thī lekin
muḳhālifīn mire saath saath chalte rahe
jinheñ nasīb huā un ko baḳhsh dī raunaq
maiñ jin ke haath na aayā vo haath malte rahe
agarche zauq-e-safar meñ kamī nahīñ aa.ī
qadam qadam pe magar zāviye badalte rahe
ubhar jo aa.e sar-e-shām ātishīñ lamhe
safar meñ barf-badan der tak pighalte rahe
wo aur log the jo raste badalte rahe
safar hai shart so hum nind mein bhi chalte rahe
pighal raha tha yugon se wajud ka lawa
KHayal-o-KHwab mere pattharon mein Dhalte rahe
unhen qubul meri rahbari na thi lekin
muKHalifin mere sath sath chalte rahe
jinhen nasib hua un ko baKHsh di raunaq
main jin ke hath na aaya wo hath malte rahe
agarche zauq-e-safar mein kami nahin aai
qadam qadam pe magar zawiye badalte rahe
ubhar jo aae sar-e-sham aatishin lamhe
safar mein barf-badan der tak pighalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.