wo aur tasalli mujhe den unki bala de
vo aur tasallī mujhe deñ un kī balā de
jaate hue farmā to ga.e sabr ḳhudā de
har baat kā allāh ne baḳhshā hai salīqa
laḌnā bhī mazā de tirā milnā bhī mazā de
is tarah bhī ġhash se kahīñ hotā hai ifāqa
yā zulf suñghā yā mujhe dāman kī havā de
dam chaḌhne lagā ġhusse ke tevar jo banā.e
nāzuk ho jo itnā vo mujhe ḳhaak sazā de
kam-baḳht nai sab khol diye rāz-e-mohabbat
ye kis ne kahā thā tujhe 'beḳhud' ko pilā de
wo aur tasalli mujhe den un ki bala de
jate hue farma to gae sabr KHuda de
har baat ka allah ne baKHsha hai saliqa
laDna bhi maza de tera milna bhi maza de
is tarah bhi ghash se kahin hota hai ifaqa
ya zulf sungha ya mujhe daman ki hawa de
dam chaDhne laga ghusse ke tewar jo banae
nazuk ho jo itna wo mujhe KHak saza de
kam-baKHt nai sab khol diye raaz-e-mohabbat
ye kis ne kaha tha tujhe 'beKHud' ko pila de
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 179)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.