wo ba-zahir ayan nahin hota
vo ba-zāhir ayaañ nahīñ hotā
phir bhī sab se nihāñ nahīñ hotā
vo agar mehrbāñ nahīñ hotā
ye mukammal jahāñ nahīñ hotā
is hunar se vo zaḳhm dete haiñ
jin kā koī nishāñ nahīñ hotā
ḳhud se kartā huuñ zikr maazī kā
jab koī ham-zabāñ nahīñ hotā
phir se degā koī sadā mujh ko
ab to ye bhī gumāñ nahīñ hotā
hai yaqīnan koī kamī apnī
varna vo bad-gumāñ nahīñ hotā
darmiyāñ thī koī anā varna
maiñ yahāñ vo vahāñ nahīñ hotā
āzmā.ish hamārī barsoñ se
is tarah imtihāñ nahīñ hotā
jin ke zehnoñ meñ be-niyāzī ho
un kā koī jahāñ nahīñ hotā
wo ba-zahir ayan nahin hota
phir bhi sab se nihan nahin hota
wo agar mehrban nahin hota
ye mukammal jahan nahin hota
is hunar se wo zaKHm dete hain
jin ka koi nishan nahin hota
KHud se karta hun zikr mazi ka
jab koi ham-zaban nahin hota
phir se dega koi sada mujh ko
ab to ye bhi guman nahin hota
hai yaqinan koi kami apni
warna wo bad-guman nahin hota
darmiyan thi koi ana warna
main yahan wo wahan nahin hota
aazmaish hamari barson se
is tarah imtihan nahin hota
jin ke zehnon mein be-niyazi ho
un ka koi jahan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.