wo ba-wafa nahin na sahi bewafa to hai
vo bā-vafā nahīñ na sahī bevafā to hai
duniyā-e-husn-o-ishq meñ ik rābta to hai
ab kyā kareñ ki ye bhī gavārā nahīñ unheñ
ādāb-e-ġham meñ vaise tabassum ravā to hai
ham ko na kyoñ aziiz hoñ duniyā ke pech-o-ḳham
zulfoñ se terī duur kā ik vāsta to hai
tū hī batā kahāñ hai tirī be-ruḳhī kā zikr
tū ne bhī qissa-e-ġham-e-ulfat sunā to hai
un kī nazar se ho ki zamāne kī chaal se
duniyā-e-dil meñ hashr hamārī bapā to hai
kyā ye bhī tere zauq-e-jafā ko hai nāgavār
apnī vafā ko maiñ ne vafā haañ kahā to hai
maanā kabhī jafā kā na shikva kiyā 'shafīq'
un kī ināyatoñ se tumheñ ab gila to hai
wo ba-wafa nahin na sahi bewafa to hai
duniya-e-husn-o-ishq mein ek rabta to hai
ab kya karen ki ye bhi gawara nahin unhen
aadab-e-gham mein waise tabassum rawa to hai
hum ko na kyon aziz hon duniya ke pech-o-KHam
zulfon se teri dur ka ek wasta to hai
tu hi bata kahan hai teri be-ruKHi ka zikr
tu ne bhi qissa-e-gham-e-ulfat suna to hai
un ki nazar se ho ki zamane ki chaal se
duniya-e-dil mein hashr hamari bapa to hai
kya ye bhi tere zauq-e-jafa ko hai nagawar
apni wafa ko main ne wafa han kaha to hai
mana kabhi jafa ka na shikwa kiya 'shafiq'
un ki inayaton se tumhein ab gila to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.