wo baad-e-saba rashk-e-chaman yaad rahegi
vo bād-e-sabā rashk-e-chaman yaad rahegī
vo jān-e-ġhazal vaj.h-e-suḳhan yaad rahegī
bebāk se gesū liye maḳhmūr nigāheñ
vo ġhuncha-dahan sho'la-badan yaad rahegī
kuchh ḳhauf-e-tamāsha thā na rusvā.ī kā Dar thā
kitnā thī vo chāhat meñ magan yaad rahegī
ik shauq-e-mulāqāt meñ ham so nahīñ paa.e
jaagī huī rātoñ kī thakan yaad rahegī
jis ne mirī rāhoñ meñ baḌe ḳhaar bichhā.e
ik dost bhī thā jis kī lagan yaad rahegī
maiñ yaad rahūñ yā na rahūñ tujh ko zamāne
lekin mirī har tarz-e-suḳhan yaad rahegī
kāñToñ kī to fitrat hai gila un se nahīñ hai
maalī tire phūloñ kī chubhan yaad rahegī
wo baad-e-saba rashk-e-chaman yaad rahegi
wo jaan-e-ghazal wajh-e-suKHan yaad rahegi
bebak se gesu liye maKHmur nigahen
wo ghuncha-dahan sho'la-badan yaad rahegi
kuchh KHauf-e-tamasha tha na ruswai ka Dar tha
kitna thi wo chahat mein magan yaad rahegi
ek shauq-e-mulaqat mein hum so nahin pae
jagi hui raaton ki thakan yaad rahegi
jis ne meri rahon mein baDe KHar bichhae
ek dost bhi tha jis ki lagan yaad rahegi
main yaad rahun ya na rahun tujh ko zamane
lekin meri har tarz-e-suKHan yaad rahegi
kanTon ki to fitrat hai gila un se nahin hai
mali tere phulon ki chubhan yaad rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.