wo baat baat mein aise nishan chhoD gaya
wo baat baat mein aise nishan chhoD gaya
Khwaja Saeeduddin Nawab
MORE BYKhwaja Saeeduddin Nawab
vo baat baat meñ aise nishān chhoḌ gayā
sulagte dil ko chitā ke samān chhoḌ gayā
na jaane kaun sī dhun meñ thā qātiloñ kā hujūm
taḌapte jismoñ meñ thoḌī sī jaan chhoḌ gayā
jise maiñ apne masā.il kā hal samajhtā thā
vo jab gayā to bahut imtihān chhoḌ gayā
hamārā raaz tirī bazm tak gayā kaise
hai kaun jo pas-e-dīvār kaan chhoḌ gayā
vo aaj tak hai muhājir ke naam se badnām
jo shaḳhs taish meñ hindostān chhoḌ gayā
shikāyateñ bhī kareñ ham 'navāb' to kaise
vo lafz chhīn ke muñh meñ zabān chhoḌ gayā
wo baat baat mein aise nishan chhoD gaya
sulagte dil ko chita ke saman chhoD gaya
na jaane kaun si dhun mein tha qatilon ka hujum
taDapte jismon mein thoDi si jaan chhoD gaya
jise main apne masail ka hal samajhta tha
wo jab gaya to bahut imtihan chhoD gaya
hamara raaz teri bazm tak gaya kaise
hai kaun jo pas-e-diwar kan chhoD gaya
wo aaj tak hai muhajir ke nam se badnam
jo shaKHs taish mein hindostan chhoD gaya
shikayaten bhi karen hum 'nawab' to kaise
wo lafz chhin ke munh mein zaban chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.