wo baat baat pe ji bhar ke bolne wala
wo baat baat pe ji bhar ke bolne wala
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
vo baat baat pe jī bhar ke bolne vaalā
ulajh ke rah gayā Dorī ko kholne vaalā
lo saare shahr ke patthar sameT laa.e haiñ ham
kahāñ hai ham ko shab o roz taulne vaalā
hamārā dil ki samundar thā us ne dekh liyā
bahut udaas huā zahr gholne vaalā
kisī kī mauj-e-farāvāñ se khā gayā kyā maat
vo ik nazar meñ diloñ ko TaTolne vaalā
vo aaj phir yahī dohrā ke chal diyā 'bānī'
maiñ bhuul ke nahīñ ab tujh se bolne vaalā
wo baat baat pe ji bhar ke bolne wala
ulajh ke rah gaya Dori ko kholne wala
lo sare shahr ke patthar sameT lae hain hum
kahan hai hum ko shab o roz taulne wala
hamara dil ki samundar tha us ne dekh liya
bahut udas hua zahr gholne wala
kisi ki mauj-e-farawan se kha gaya kya mat
wo ek nazar mein dilon ko TaTolne wala
wo aaj phir yahi dohra ke chal diya 'bani'
main bhul ke nahin ab tujh se bolne wala
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.