wo baat baat pe kahta hai bewafa mujhko
vo baat baat pe kahtā hai bevafā mujh ko
sikhā diyā unhīñ bātoñ ne bolnā mujh ko
maiñ apnī zaat meñ gum ho gayā thā sab se duur
tirī nazar se milā hai mirā pata mujh ko
haqīqatoñ se nazar kab talak churā.uñgā
ki baar baar dikhātī haiñ aa.ina mujh ko
vo chāhtā thā ki maiñ us kī ik jhalak dekhūñ
maiñ sochtā thā kahīñ se vo de sadā mujh ko
bhulā.e baiThā thā jis ko maiñ ek muddat se
na jaane kaise vo phir yaad aa gayā mujh ko
mire ḳhilāf 'qamar' jaane kis kī sāzish hai
banāyā jaatā hai har roz mas.ala mujh ko
wo baat baat pe kahta hai bewafa mujh ko
sikha diya unhin baaton ne bolna mujh ko
main apni zat mein gum ho gaya tha sab se dur
teri nazar se mila hai mera pata mujh ko
haqiqaton se nazar kab talak churaunga
ki bar bar dikhati hain aaina mujh ko
wo chahta tha ki main us ki ek jhalak dekhun
main sochta tha kahin se wo de sada mujh ko
bhulae baiTha tha jis ko main ek muddat se
na jaane kaise wo phir yaad aa gaya mujh ko
mere KHilaf 'qamar' jaane kis ki sazish hai
banaya jata hai har roz masala mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.