wo baat jo huzur ko mujhse KHafa kare
vo baat jo huzūr ko mujh se ḳhafā kare
dil meñ tamām umr na aa.e ḳhudā kare
itnā to hai ki thaam liyā aap ne hī dil
allāh mere dard-e-jigar ko sivā kare
aa jaa.eñ kal vo ḳhud mire ḳhat ke javāb meñ
qāsid jo kah rahā hai yahī ho ḳhudā kare
ho jis ko bosa us lab-e-jāñ-baḳhsh kā nasīb
kyoñ vo talāsh-e-chashma-e-āb-e-baqā kare
kis kaam kī bhalā shab-e-furqat meñ chāñdnī
oḌhe bichhā.e koī ise kahiye kyā kare
wo baat jo huzur ko mujh se KHafa kare
dil mein tamam umr na aae KHuda kare
itna to hai ki tham liya aap ne hi dil
allah mere dard-e-jigar ko siwa kare
aa jaen kal wo KHud mere KHat ke jawab mein
qasid jo kah raha hai yahi ho KHuda kare
ho jis ko bosa us lab-e-jaan-baKHsh ka nasib
kyon wo talash-e-chashma-e-ab-e-baqa kare
kis kaam ki bhala shab-e-furqat mein chandni
oDhe bichhae koi ise kahiye kya kare
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 33)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.