wo baat kare bhi to dil-azar kare hai
vo baat kare bhī to dil-āzār kare hai
inkār kare hai na to iqrār kare hai
vo phir na.e andāz se ik vaar kare hai
phir tīr-e-nazar dil ko mire paar kare hai
andāz-e-nazar us kā zamāne se judā hai
dil muft meñ lene se bhī inkār kare hai
jo ho na sakā barq-e-tapāñ-ḳhez se zālim
vo kaam tirī garmī-e-guftār kare hai
maiñ jaag ke soyā hī thā āḳhir shab-e-furqat
kyoñ va.ade kī aahaT mujhe bedār kare hai
phir kis ne sadā haqq-o-sadāqat kī sunā.ī
ab yaad kise phir rasan-o-dār kare hai
'āzād' har ik gaam pe vo ġhamza-e-ġhammāz
zarroñ ko sitāre dam-e-raftār kare hai
wo baat kare bhi to dil-azar kare hai
inkar kare hai na to iqrar kare hai
wo phir nae andaz se ek war kare hai
phir tir-e-nazar dil ko mere par kare hai
andaz-e-nazar us ka zamane se juda hai
dil muft mein lene se bhi inkar kare hai
jo ho na saka barq-e-tapan-KHez se zalim
wo kaam teri garmi-e-guftar kare hai
main jag ke soya hi tha aaKHir shab-e-furqat
kyon wade ki aahaT mujhe bedar kare hai
phir kis ne sada haqq-o-sadaqat ki sunai
ab yaad kise phir rasan-o-dar kare hai
'azad' har ek gam pe wo ghamza-e-ghammaz
zarron ko sitare dam-e-raftar kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.