wo bahut be-qarar hai shayad
vo bahut be-qarār hai shāyad
us ko bhī intizār hai shāyad
nafrateñ sar se paañv tak dekhīñ
dil meñ thoḌā sā pyaar hai shāyad
kar ke tai marhale udaas thā vo
jiit meñ us kī haar hai shāyad
zindagī āḳhirī Thikāne par
qābil-e-e'tibār hai shāyad
ġham bhī phal phūltā hai aa.e din
shajar-e-sāya-dār hai shāyad
mere rone pe koī baat na kī
aaj vo sogvār hai shāyad
guftugū meñ na mujh se jiit sakā
is liye sharmsār hai shāyad
jis ko dekhūñ vo girtā paḌtā hai
har taraf intishār hai shāyad
kaj-kulāhī tumhārī 'īraj' jī
bā.is-e-iftiḳhār hai shāyad
wo bahut be-qarar hai shayad
us ko bhi intizar hai shayad
nafraten sar se panw tak dekhin
dil mein thoDa sa pyar hai shayad
kar ke tai marhale udas tha wo
jit mein us ki haar hai shayad
zindagi aaKHiri Thikane par
qabil-e-e'tibar hai shayad
gham bhi phal phulta hai aae din
shajar-e-saya-dar hai shayad
mere rone pe koi baat na ki
aaj wo sogwar hai shayad
guftugu mein na mujh se jit saka
is liye sharmsar hai shayad
jis ko dekhun wo girta paDta hai
har taraf intishaar hai shayad
kaj-kulahi tumhaari 'iraj' ji
bais-e-iftiKHar hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.