Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bahut be-qarar hai shayad

Muzaffar Eraj

wo bahut be-qarar hai shayad

Muzaffar Eraj

MORE BYMuzaffar Eraj

    vo bahut be-qarār hai shāyad

    us ko bhī intizār hai shāyad

    nafrateñ sar se paañv tak dekheñ

    dil meñ thoḌā pyaar hai shāyad

    kar ke tai marhale udaas thā vo

    jeb meñ us haar hai shāyad

    zindagī āḳhirī Thikāne par

    qābil-e-e'tibār hai shāyad

    ġham bhī phal-phūltā hai aa.e din

    shajar-e-sāya-dār hai shāyad

    mere rone pe koī baat na

    aaj vo sogvār hai shāyad

    guftugū meñ na mujh se jiit sakā

    is liye sharmsār hai shāyad

    jis ko dekhūñ vo girtā paḌtā hai

    har taraf intishār hai shāyad

    kaj-kulāhī tumhārī 'īraj'

    bā.is-e-iftiḳhār hai shāyad

    wo bahut be-qarar hai shayad

    us ko bhi intizar hai shayad

    nafraten sar se panw tak dekhen

    dil mein thoDa sa pyar hai shayad

    kar ke tai marhale udas tha wo

    jeb mein us ki haar hai shayad

    zindagi aaKHiri Thikane par

    qabil-e-e'tibar hai shayad

    gham bhi phal-phulta hai aae din

    shajar-e-saya-dar hai shayad

    mere rone pe koi baat na ki

    aaj wo sogwar hai shayad

    guftugu mein na mujh se jit saka

    is liye sharmsar hai shayad

    jis ko dekhun wo girta paDta hai

    har taraf intishaar hai shayad

    kaj-kulahi tumhaari 'iraj' ji

    bais-e-iftiKHar hai shayad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now