wo bazahir kabhi ayan na hua
vo bazāhir kabhī 'ayāñ na huā
phir bhī mushtāq se nihāñ na huā
aaj kyoñ merā imtihāñ na huā
barq kī nazr āshiyāñ na huā
na huā mujh pe mehrbāñ koī
jab tak allāh mehrbāñ na huā
sirf rusvā.ī ke liye merī
zikr merā kahāñ kahāñ na huā
har dam aafat meñ jaañ hai is ke liye
ġham huā ye to āshiyāñ na huā
dil kī ḳhātir hazār koshish kī
vo na honā thā mehrbāñ na huā
koī mahbūb apne tālib kā
'qadr' ab tak to qadr-dāñ na huā
wo bazahir kabhi 'ayan na hua
phir bhi mushtaq se nihan na hua
aaj kyon mera imtihan na hua
barq ki nazr aashiyan na hua
na hua mujh pe mehrban koi
jab tak allah mehrban na hua
sirf ruswai ke liye meri
zikr mera kahan kahan na hua
har dam aafat mein jaan hai is ke liye
gham hua ye to aashiyan na hua
dil ki KHatir hazar koshish ki
wo na hona tha mehrban na hua
koi mahbub apne talib ka
'qadr' ab tak to qadr-dan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.