wo bazm-e-ghair mein ba-sad-waqar baiThe hain
vo bazm-e-ġhair meñ bā-sad-vaqār baiThe haiñ
ham un ke ghar hama-tan intizār baiThe haiñ
shabīh-e-zulf-e-pareshāñ jo ham banāne lage
ruke haiñ uljhe haiñ bigḌe haiñ yaar baiThe haiñ
jise ḳhayāl kiyā ishq se nahīñ ḳhālī
tamām tālib-e-dīdār-e-yār baiThe haiñ
ham us kī bazm meñ haiñ sañg-e-farsh ke mānind
ye jabr baiThe haiñ be-iḳhtiyār baiThe haiñ
vo rashk-e-mehr hai ai 'mehr' charḳh-e-chārum par
ham iztirāb meñ kyuuñ zarra-dār baiThe haiñ
wo bazm-e-ghair mein ba-sad-waqar baiThe hain
hum un ke ghar hama-tan intizar baiThe hain
shabih-e-zulf-e-pareshan jo hum banane lage
ruke hain uljhe hain bigDe hain yar baiThe hain
jise KHayal kiya ishq se nahin KHali
tamam talib-e-didar-e-yar baiThe hain
hum us ki bazm mein hain sang-e-farsh ke manind
ye jabr baiThe hain be-iKHtiyar baiThe hain
wo rashk-e-mehr hai ai 'mehr' charKH-e-chaarum par
hum iztirab mein kyun zarra-dar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.